بنی اسراءیل 72 فیرقون میں بیٹ گیے میری امت 73 فیرقون مجھے تکثیم ہوگی
Huzoor E Pak ﷺ Ne Is Ummat Ke Girohon Aur Firqo Me Batne Ki Peshangoi Pehle Hi Farma De Hai, Agar Ye Firqe Bandiyan Na Hoti To Deene Islam Ko Pehchan Ke Liye Ahlesunnat Ka Naam Bhi Nahi Diya Jata, Khunki Ye Tamam Batil Firqe Musalmano Me Hone The, Ye Sab Quran O Hadees Ka Naam Le Kar Uthne Wale The, Ye Sab ALLAH Wa Rasool ﷺ Ke Deen Par Chalne Ka Dawa Karne Wale The Lihaza Zaroori Hua Ki Jab Sabhi islam Ka Naam Lekar Uthe’n To Unme WAQAI Jo HAQ Par Ho use Eik Khas Naam Se Pukara Jaye Aur Baqi Tamam Batil Firqon Ki Nishaniyan Bhi Batai Jay. Phir Wo Jamat Jo HAQIQATAN ALLAH Wa Rasool Ke Deen Ke Taabe Rahi Use Ahlesunnat Wa Jamat Ka Naam Diya Gaya, Aur Aisa Hargiz Nahi Hai Ki Ye Naam Kisi Molvi Maulana Ya imam O Mujtahid Ka Diya Hua Ho, Balki iski Asl Quran O Hadees Me Maujood Hai Aur Ye Naam Khud ALLAH Ke Pyare Mehboob ﷺ Ne Ata Farmaya