darood e tanjeena
关于darood e tanjeena
daroodêtanjeena,norani qaidada tanjeena,在乌尔都语daroodë小唐,tanjeena乌尔都语
es app main darood e tanjeena pak with urdu translation ha
darood e tanjeena with urdu translation
tanjena darood shareef with urdu tarjma
har mushkal ka hal darood e tanjeena say
darood e tanjeena ka wazifa
darood tanjeena benefits in urdu
wazifa of darood e tanjeena
urdu transaltion of darood e tanjeena
importance of darood e tanjeena
Darood e Tanjeena ki Fazeelat
darood e tanjeena wazifa
Daroode-e-Tanjeena se murad wo darood shareef hy jis k parhne se har muskil aur muhim se nijat milti hy,
Alama Fakhani ne Qamar Munir mi aik buzrg sheikh Mosa ka waqiya bayan kiya hy k unho ne bataya k hum aik qafly k sath aik behri jahaz mi safar kr rhe thy, k Jahaz toufan ki zad mi a gaya yeh toufan Qehr Khudawandi ban kr jahaz ko hilane lag, hum log yaqin kr baithy k chand lamhon k baad jahaz doob jai ga, aur hum luqma-e-ajal ban jain ge, ku k mulahon ne b yeh smaj liya tha k itne tand-o-taiz jahaz se koi qismat wala jahaz he bacta hy.
Sheikh farmaty hain iss alam afratafri mi muj per neend ka galba ho gaya chand lamhe ganoodgi tari hui mi ne daikha k Mah-e-Batkha Hazrat Muhammad (PBUH) tashreef laye aur muje hukam diya k tum aur tumhary sathi yeh darood 2000 bar parho, mi baidar hua, apne doston ko jamah kiya, wazo kiya aur Darood-e-Pak Parhna surh kr diya, Abi hum ne 300 bar Darood-e-Pak parha tha k Toufan ka zor kam hone laga aista aista toufan ruk gaya aur thoray he waqt mi asman saaf ho gya aur samandar ki sattah pur aman ho gai. Is Darood-e-Pak ki barkat se tamam jahaz walon ko Nijat mil gai,
Is Darood-e-Pak ka nam Tunji ya Tanjeena rakha gya, is ke be panah fazail hain, aur buzurgan-e-deen ne bar bar martaba azamaya hai, Janab Ghos Azam (R.A) ne farmaya k aik shak nahayat mushkil mi girftar ho gaya, iss ne wazo kr k muhattar (khushbo) Darood-e-Tanjeena parhna surh kiya tou mushkil hal ho gai, is Darood-e-Pak ko jo skahks adab-o-ahitram se Qibla ro ho kr har roz 300 bar parhe ga Allah k fazal se is ki sakhat se sakhat mushkil hal ho jai ge-
Is Darood-e-Tanjeena k fazial me se yeh b hai k jis Shakhs ko Nabi Kareem (PBUH) ki zirat ka shouq ho woh khalis niyat se Darood-e-Tanjeena parhe aur baad nimaz-e-isha 1000 bar pura kary aur bister ko Muatar (khushboodar) kr k bawzoo he so jai Insh Allah 40 roz k andar andar he ziarat Rasool-e-Kareem (PBUH) ho ge agar Allah karam kray tou 1 hafty mi Nabi Kareem (PBUH) ki ziarat ho jai.
Iss Darood-e-Pak k aur b bhout se fazail hain aik buzurg ka kehna hai k jo skahkhs is Darood-e-Tanjeena ko subh-o-sham 10, 10 bar parhe tou Allah Tahla is se razi ho jai ga, aur Allah k qehar se nijat mile ge Allah Tahla isse buraiyon se mehfooz rakhy ga, is k Gham mitt jain ge.
Iss Darood-e-Tanjeena ki fazeelat yeh be hai k jo skahks bimari se tang a kr tabbibon aur doctron se mayoos ho gaya ho, isse chaye k is Darood-e-Pak ko kasrat se Parhay Insh Allah Bimiri ki takleef se nijat mille ge,
Is Darood Pak ki Bahut se fazail batai gai hain, Ap isse har mushkil k liye parh sakty hain, koi b mushkil darpesh aye tou yeh Darood-e-Pak 1000 martaba yaqin rakh kr parhin, Allah aap ki muskil zaroor hal farmaye ga
app required internet
最新版本1.0的更新日志
darood e tanjeena历史版本
darood e tanjeena 1.0
在APKPure上极速安全下载应用
一键安装安卓XAPK/APK文件!