Azkaar in Roman Arabic/Urdu
32.2 MB
File Size
Android 4.1+
Android OS
About Azkaar in Roman Arabic/Urdu
Subah Wo Shaam Our Baad Namaz Ke Azkaar
Dua Aysi Ibadat Hai Jis ke liye koi din ya waqt muqarrar nahi balki har lamha mangne ki ijazat hai magar Rasoolullah Sallallahu aliyhe wa sallam ne kuch duaawon ke awqaat batlaye hain maslan namaz ke baad, Subah wo Shaam ke azkaar.
Subah ke Azkaar Namaz-e-Fajr ke baad se tulue shams tak padhna Afzal hai.
Shaam ke Azkaar Namaz-e-Asr se gurube Shams tak padhna afzal hai.
Musibaton our Ghamaon se najaat pane ke liye Zikr wo Azkaar se Zayada Mazboot koi hathyaar nahi Allah tala momin kafir sab ki hifazat karta hai magar ek momin jab Zikr wo Azkaar ka Ehtamam karta hai to Allah uski khususi Hifazat karta hai.
Iss App main Quran aur Sahi Hadeet se saabit shuda azkaar hi jama kiye gaye hain.
صبح وشام اوربعد نمازکے أذكار
Subah Wo Shaam Our Baad Namaz Ke Azkaar
الحمد لله وحده والصلاة والسلام على من لا نبي بعده ۔
Momin ke liye Allah ki yaad se badh kar koi cheez itminane qalb ka bais nahi hai Allah tala ka irshad hai .
" ألا بذكر الله تطمئن القلوب "
"Sun lo Allah ki yaad se hi dilon ko itminan naseeb hota hai " .
Hum sab Allah tala ki rahmat ke muhtaj hain , ek Momin par jab musibat ati hai to woh apne Rab ki chaokhat par jhuk jata hai.our hona bhi yahi chahiye q ki wahi musibaton ko door kar sakta hai .
Allah tala ka irshad hai .
" يا أيها الذين آمنو ااذکر و االلہ ذکر ا كثيرا وسبحوه بكرة وأصيلا "
"Aye imaan walo Allah ka zikr bahut ziyada karo our Subah wo Shaam Allah ki Tasbeeh ( pakizgi ) bayan karo ".
is ayate karima main Allah tala Momineen ko mukhatab karte huwe farmata hai ki Allah ka zikr kasrat se karo our khas taur se subah wo shaam Allah ko yaad karo our uski paki bayan karo .
ek Musalman jab zikr wo Azkaar karta hai khas taur se subah wo shaam ke azkaar ka ehtamam karta hai to woh jadu , nazre bad , hasad our khabees jinnaat wo shayateen se mahfooz rahta hai .
lihaza har Musalman ko chahiye ki in Masnon Azkaar ka ihtamam karen , is ko padhne se neyki bhi milegi our hifazat bhi hogi .
Akhir main Allah tala se dua hi woh is adna si koshish ko qabool farmaye our zakhirae Akhirat banaye.
Ameen ...
What's new in the latest 5.0
Azkaar in offline mode
fixed some bugs
Azkaar in Roman Arabic/Urdu APK Information
Old Versions of Azkaar in Roman Arabic/Urdu
Azkaar in Roman Arabic/Urdu 5.0
Super Fast and Safe Downloading via APKPure App
One-click to install XAPK/APK files on Android!